Sehr Ishqabadi

tera wahshi kuchh aage hai junun-e-fitna-saman se

Sehr Ishqabadi

Ishqabad, Uttar pradesh, India

1903-1978
tirā vahshī kuchh aage hai junūn-e-fitna-sāmāñ se
kahīñ dast-o-garebāñ ho na ābādī bayābāñ se
ilāhī jazba-e-dil kā asar itnā na ho un par
pareshāñ vo na ho jaa.eñ mire hāl-e-pareshāñ se
qayāmat hai vo aa.e aur aate hī hue vāpas
ye āsār-e-sahar paidā hue shām-e-ġharībāñ se
nazar vaale samajh jaa.eñ na arsh-o-farsh kī nisbat
tirā dāman na chhū jaa.e kahīñ mere garebāñ se
urūj-e-josh-e-vahshat 'sehr' hai ye roz-e-raushan meñ
nazar aate haiñ taare rauzan-e-dīvār-e-zindāñ se
Top Urdushayar.com