Sehr Ishqabadi

jis se wafa ki thi ummid usne ada kiya ye haq

Sehr Ishqabadi

Ishqabad, Uttar pradesh, India

1903-1978
jis se vafā kī thī ummīd us ne adā kiyā ye haq
auroñ se irtibāt kī aur mujhe diyā qalaq
terī jafā vafā sahī merī vafā jafā sahī
ḳhuun kisī kā bhī nahīñ to ye batā hai kyā shafaq
mus.haf-e-ruḳh hī dard thā aur na thā koī ḳhayāl
ishq ne ḳhud paḌhā diyā husn kā ek ik varaq
aur to haiñ rivāyateñ maz.hab-e-ishq hai sahīh
roz atā ho shauq se vahī na.ī nayā sabaq
jazba-e-dil ġhalat sahī kuchh to subūt-e-ishq dekh
tafta jigar havās gum ḳhīra nazar kaleja shaq
'sehr' to mujtahid hai ḳhud kyuuñ ho muqallid aur kā
bahr o radīf o qāfiya hai fann-e-shā.irī adaq
Top Urdushayar.com