Obaidurrahman Niyazi

tez aandhi se KHafa hai koi

Obaidurrahman Niyazi

Multan, Punjab, Pakistan

1987
tez āñdhī se ḳhafā hai koī
TuuT kar barg girā hai koī
mujh ko mahsūs huā hai aksar
diid ke paar chhupā hai koī
raat mahtāb ko dekhā to lagā
duur se dekh rahā hai koī
bujh gayā qumquma jo kamre kā
yuuñ lagā ruuTh gayā hai koī
ḳhushk jhoñkoñ kā sitam sahne ko
phuul patjhaḌ meñ khilā hai koī
raat ke bahr meñ ġhota-zan hai
niiñd ko DhūñD rahā hai koī
Top Urdushayar.com