nahīf tinkā bhalā tez dhaar kyā jaane
na kar sakegā vo dariyā ko paar kyā jaane
hayāt kī ye nihāyat tavīl rāhguzār
musāfiroñ kī thakan kā shumār kyā jaane
masarratoñ meñ chhupā husn-e-dil ko kyā ma.alūm
ye regzār jamāl-e-bahār kyā jaane
vo ham se umr bitāne kī baat kartā hai
hameñ to saañs bhī lenā hai baar kyā jaane
nashe meñ hai jo masarrat kā jaam pī ke 'obaid'
vo hādsāt kī mai kā ḳhumār kyā jaane