Obaidurrahman Niyazi

pasand na-pasand ka koi bhi zabta nahin

Obaidurrahman Niyazi

Multan, Punjab, Pakistan

1987
pasand nā-pasand kā koī bhī zābta nahīñ
kabhī bhalā bhī hai burā kabhī burā burā nahīñ
to jaise dhuup meñ chamaktā barf-posh kohsār
maiñ kaalī raat kā diyā tū mere husn sā nahīñ
vo hañstā bastā shaḳhs thā diloñ pe sab ke naqsh thā
phir ek din kahīñ gayā kahāñ gayā patā nahīñ
ye kyā hasīn baaġh hai yahāñ haiñ kitnī titliyāñ
vo ek kyoñ nahīñ yahāñ nahīñ yahāñ maza nahīñ
tamām raat jaag kar kaTī hai us ke vāste
mirī sahar nahīñ huī vo mehr to dikhā nahīñ
ye kyā ajiib ishq hai jo phone par hī ho gayā
qarābatoñ kā shauq hī diloñ meñ ab rahā nahīñ
ye bazm-e-shab sajā rahe haiñ rañg rañg qumqume
magar ye kaisī bazm hai ki ik bhī dil jalā nahīñ
sunā hai mere baare meñ chhapī haiñ aaj surḳhiyāñ
ye rā.egāñ chhapī haiñ un laboñ ne gar paḌhā nahīñ
Top Urdushayar.com