saaya kiye hue thā jo bādal nahīñ rahā
āfāt kā ye mehr magar Dhal nahīñ rahā
sar par thī us kī chhāñv to maujūd the havās
paglā ga.e haiñ ham ki vo āñchal nahīñ rahā
jīvan kī shāhrāh ko raushan kiye hue
ik hī to qumquma thā jo ab jal nahīñ rahā
ik ḳhūb-rū parinda baḌī duur jā basā
ab ḳhvāhishoñ kā baaġh mukammal nahīñ rahā
Thahre hue the ham to chale jā rahā thā vaqt
jab saath chal diye haiñ to ab chal nahīñ rahā
dekhā to us taraf koī maujūd hī na thā
jab darmiyān ḳhauf kā daldal nahīñ rahā
mere taḳhaiyyulāt ne jaadū sā kar diyā
vo sāmne na ho ke bhī ojhal nahīñ rahā