Obaidurrahman Niyazi

jo meri ruh ki gahraiyon mein utra tha

Obaidurrahman Niyazi

Multan, Punjab, Pakistan

1987
jo merī ruuh kī gahrā.iyoñ meñ utrā thā
vo ek narm mulā.em havā kā jhoñkā thā
us ek lams ke baare meñ kyā batā.ūñ tumheñ
ThiThurtī sardiyoñ kī tez dhuup jaisā thā
maiñ ik zamīn banā ghūmtā thā jis ke sabab
vo ek gul thā mire chāñd par jo khiltā thā
vo ek baaġh thā jis meñ thiiñ do hasīñ jhīleñ
maiñ un ko dekhte hī Duub Duub jaatā thā
us ek qasr ko andar se jhāñkne kī talab
mirī nazar ne baḌā saḳht vaqt kaaTā thā
maiñ umr bhar ke liye ḳhud ko bhuul baiThā thā
koī pukār nahīñ thī vo ek nashsha thā
maiñ raushnī se milā thā bas itnā yaad rahā
phir us ke baad se chāroñ taraf añdherā thā
ye aur baat ki vo merā ho nahīñ paayā
ḳhudā ne us ko mire vāste hī bhejā thā
Top Urdushayar.com