musāfirat mirī har justujū se ḳhālī hai
bas ik madār meñ phirne kī ḳhū banā lī hai
tamām vaqt maiñ shahr-e-gumāñ meñ rahtā huuñ
sukūñ se rahne kī mantiq na.ī nikālī hai
harīs āriyoñ kī bheñT chaḌh gayā chup-chāp
shajar pe ab koī pattā na koī Daalī hai
havā meñ bhar ga.ī hai bū-e-ishtihā har sū
kisī ġharīb ne apnī ridā uchhālī hai
laboñ pe chāshnī aur dil meñ nafratoñ kā zahr
ye āb-o-nār kī sañgat baḌī nirālī hai
batā rahā hai ye pattoñ kā mātamī sā shor
chaman se jald hī āñdhī guzarne vaalī hai