Obaidurrahman Niyazi

ek hasrat mein Dhal ke Dasti hai

Obaidurrahman Niyazi

Multan, Punjab, Pakistan

1987
ek hasrat meñ Dhal ke Dastī hai
abr se bekalī barastī hai
ek ḳhāka sā mere dhyān meñ hai
ek ḳhvāhish sī dil meñ bastī hai
raat meñ bhī na ho sakā raushan
dil-mohalle meñ tañg-dastī hai
ghar ke dīvār-o-dar hī muḳhlis haiñ
baaqī duniyā to mujh pe hañstī hai
kyoñ yahāñ DhūñDte ho muskāneñ
dahr to ik udaas bastī hai
har kisī ko bhalā ho kyoñ hāsil
ġham kī sauġhāt koī sastī hai
jab bhī maiñ mahfiloñ meñ hotā huuñ
ruuh tanhā.ī ko tarastī hai
Top Urdushayar.com