Obaidurrahman Niyazi

kisi ke panw ki ragaD se aag si lagi to thi kidhar gai

Obaidurrahman Niyazi

Multan, Punjab, Pakistan

1987
kisī ke paañv kī ragaḌ se aag sī lagī to thī kidhar ga.ī
nazar to aa.ī thī mujhe zarā sī der raushnī kidhar ga.ī
maiñ us ke lafz lafz kī banāvaToñ meñ gum thā jab havā chalī
jo mere dil kī mez par kitāb thī khulī huī kidhar ga.ī
bas ek moḌ kyā kaTā ki vāpsī kā rāsta hī kho gayā
maiñ DhūñD DhūñD thak gayā yahīñ to thī mirī galī kidhar ga.ī
maiñ bhuul aayā huuñ kahīñ ki chhīn le gayā koī ḳhabar nahīñ
jo maiñ ne rab se paa.ī thī mire nasīb kī ḳhushī kidhar ga.ī
udāsiyoñ ke dasht ne thakā diyā bujhā diyā sulā diyā
vo merī aañkh meñ jo thī samundaroñ sī tāzgī kidhar ga.ī
Top Urdushayar.com