us ne likhā thā harf-e-judā.ī mire liye
phir miT ga.ī thī saarī ḳhudā.ī mire liye
gajre tamām shahr meñ baañT aayā to khulā
ghar meñ bhī muntazir thī kalā.ī mire liye
sundar gulāb ḳhvāb to ḳhvāboñ kī baat hai
ye raat niiñd bhī to na laa.ī mire liye
pur-nūr sar-zamīn pe aa kar bhulā diyā
kis ne lahū se sham.a jalā.ī mire liye
vo bhī the ratjagoñ kī masāfat meñ ham-safar
tāroñ ne raat raat sajā.ī mire liye
'fīroz' maiñ ne ḳhud hī salāsil pahan liye
mumkin nahīñ hai ab to rihā.ī mire liye