Nazim Ashraf

KHamushi bais-e-ruswai nahin hoti hai

Nazim Ashraf

Kiratpur, Uttar pradesh, India

1985
ḳhāmushī bā.is-e-rusvā.ī nahīñ hotī hai
mustaqil bolnā dānā.ī nahīñ hotī hai
har jagah dil ke phaphūle nahīñ phoḌā karte
har jagah zaḳhm pe turpāī nahīñ hotī hai
ham ġharīboñ ke nivāloñ pe asar paḌtā hai
har kisī ke liye mahñgā.ī nahīñ hotī hai
vaqt aane pe badal jaate haiñ rishte kitne
ek maañ hai ki jo harjā.ī nahīñ hotī hai
is liye rah ga.e ahbāb se pīchhe 'ashraf'
ham se ye qāfiya-paimā.ī nahīñ hotī hai
Top Urdushayar.com