Talib Johari

dhup jab tak sar pe thi zer-e-qadam pae gae

Talib Johari

Patna, Bihar, India

1939
dhuup jab tak sar pe thī zer-e-qadam paa.e ga.e
Dūbte sūraj meñ kitnī duur tak saa.e ga.e
aaj bhī harf-e-tasallī hai shikast-e-dil pe tanz
kitne jumle haiñ jo har mauqa.a pe dohrā.e ga.e
is zamīn-e-saḳht kā ab khodnā bekār hai
dafan the jo is ḳharābe meñ vo sarmā.e ga.e
dushmanoñ kī tañg-zarfī nāpne ke vāste
ham shikastoñ par shikasteñ umr bhar khaa.e ga.e
ab darinda khojiyoñ kī dastaras meñ aa gayā
nahr ke sāhil pe panjoñ ke nishāñ paa.e ga.e
aaj se maiñ apne har iqdām meñ āzād huuñ
jhāñkte the jo mire ghar meñ vo ham-sā.e ga.e
in galī-kūchoñ meñ bahnoñ kā muhāfiz kaun hai
kasb-e-zar kī dauḌ meñ bastī se māñ-jā.e ga.e
Top Urdushayar.com