jaise hī ziina bolā tah-ḳhāne kā
kunDlī maar ke baiThā saañp ḳhazāne kā
ham bhī zaḳhm-talab the apnī fitrat meñ
vo bhī kuchh sachchā thā apne nishāne kā
rāhib apnī zaat meñ shahr ābād kareñ
dair ke bāhar pahra hai vīrāne kā
baat kahī aur kah kar ḳhud hī kaaT bhī dī
ye bhī ik pairāya thā samjhāne kā
sub.h-savere shabnam chāTne vaale phuul
dekh liyā ḳhamyāza pyaas bujhāne kā
banjar miTTī par bhī baras ai abr-e-karam
ḳhaak kā har zarra maqrūz hai daane kā
'tālib' us ko paanā to dushvār na thā
andesha thā ḳhud apne kho jaane kā