Muztar Khairabadi

unhin logon ki badaulat ye hasin achchhe hain

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
unhīñ logoñ kī badaulat ye hasīñ achchhe haiñ
chāhne vaale in achchhoñ se kahīñ achchhe haiñ
kūcha-e-yār se yārab na uThānā ham ko
is bure haal meñ bhī ham to yahīñ achchhe haiñ
na koī daaġh na dhabbā na harārat na tapish
chāñd-sūraj se bhī ye māh-jabīñ achchhe haiñ
koī achchhā nazar aa jaa.e to ik baat bhī hai
yuuñ to parde meñ sabhī parda-nashīñ achchhe haiñ
tere ghar aa.eñ to īmān ko kis par chhoḌeñ
ham to ka.abe hī meñ ai dushman-e-dīñ achchhe haiñ
haiñ maze husn-o-mohabbat ke inhīñ ko hāsil
āsmāñ vāloñ se ye ahl-e-zamīñ achchhe haiñ
ek ham haiñ ki jahāñ jaa.eñ bure kahlā.eñ
ek vo vo haiñ ki jahāñ jaa.eñ vahīñ achchhe haiñ
kūcha-e-yār se mahshar meñ bulātā hai ḳhudā
kah do 'muztar' ki na ā.eñge yahīñ achchhe haiñ
Top Urdushayar.com