unhoñ ne kyā na kiyā aur kyā nahīñ karte
hazār kuchh ho magar ik vafā nahīñ karte
burā huuñ maiñ jo kisī kī burā.iyoñ meñ nahīñ
bhale ho tum jo kisī kā bhalā nahīñ karte
vo ā.eñge mirī taqrīb-e-marg meñ tauba
kabhī jo rasm-e-ayādat adā nahīñ karte
jahāñ ga.e yahī dekhā ki log marte haiñ
yahī sunā ki vo va.ada vafā nahīñ karte
kisī ke kam haiñ kisī ke bahut magar zāhid
gunāh karne ko kyā pārsā nahīñ karte
jo in hasīnoñ pe marte haiñ jīte-jī 'muztar'
vo intizār-e-payām-e-qazā nahīñ karte