asīr-e-panja-e-ahd-e-shabāb kar ke mujhe
kahāñ gayā mirā bachpan ḳharāb kar ke mujhe
kisī ke dard-e-mohabbat ne umr-bhar ke liye
ḳhudā se maañg liyā intiḳhāb kar ke mujhe
ye un ke husn ko hai sūrat-āfrīñ se gila
ġhazab meñ Daal diyā lā-javāb kar ke mujhe
vo paas aane na paa.e ki aa.ī maut kī niiñd
nasīb so ga.e masrūf-e-ḳhvāb kar ke mujhe
mire gunāh ziyāda haiñ yā tirī rahmat
karīm tū hī batā de hisāb kar ke mujhe
maiñ un ke parda-e-be-jā se mar gayā 'muztar'
unhoñ ne maar hī Daalā hijāb kar ke mujhe