umr kaaTī butoñ kī aaḌoñ meñ
ban ke patthar rahā pahāḌoñ meñ
vo laḌā.ī meñ bol uThe mujh se
baat achchhī banī bigāḌoñ meñ
dard-e-sar ke ilaaj ko vahshat
khīñch kar le chalī pahāḌoñ meñ
mastiyāñ aur bahār kā mausam
mai kī lazzat gulābī jāḌoñ meñ
duḳhtar-e-raz kī sharm to dekho
chhup ga.ī jā ke ḳhum kī aaḌoñ meñ
tū ne pī hī nahīñ hai ai zāhid
mai kī garmī na pūchh jāḌoñ meñ
tere gesū bhī ho ga.e shāmil
merī taqdīr ke bigāḌoñ meñ
marg-e-dushman pe maut rotī hai
ye asar hai tirī pachhāḌoñ meñ
uThte joban pe khul paḌe gesū
aa ke jogī base pahāḌoñ meñ
vo gale se lipaT ke sote haiñ
āj-kal garmiyāñ haiñ jāḌoñ meñ
ishq meñ jaan par banī 'muztar'
zindagī kaT ga.ī bigāḌoñ meñ