jab kahā maiñ ne ki mar mar ke bache hijr meñ ham
hañs ke bole tumheñ jiinā thā to mar kyuuñ na ga.e
ham to allāh ke ghar jā ke bahut pachhtā.e
jaan denī thī to kāfir tire ghar kyuuñ na ga.e
sū-e-dozaḳh but-e-kāfir ko jo jaate dekhā
ham ne jannat se kahā haa.e udhar kyuuñ na ga.e
pahle us soch meñ marte the ki jiite kyuuñ haiñ
ab ham is fikr meñ jiite haiñ ki mar kyuuñ na ga.e
zāhido kyā sū-e-mashriq nahīñ allāh kā ghar
ka.abe jaanā thā to tum log udhar kyuuñ na ga.e
tū ne āñkheñ to mujhe dekh ke nīchī kar liiñ
mere dushman tirī nazroñ se utar kyuuñ na ga.e
sun ke bole vo mirā hāl-e-judā.ī 'muztar'
jab ye hālat thī to phir jī se guzar kyuuñ na ga.e