Muztar Khairabadi

aarzu dil mein banae hue ghar hai bhi to kya

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
aarzū dil meñ banā.e hue ghar hai bhī to kyā
us se kuchh kaam bhī nikle ye agar hai bhī to kyā
na vo pūchhe na davā de na vo dekhe na vo aa.e
dard-e-dil hai bhī to kyā dard-e-jigar hai bhī to kyā
aap se mujh ko mohabbat jo nahīñ hai na sahī
aur ba-qaul aap ke hone ko agar hai bhī to kyā
der hī kyā hai hasīnoñ kī nigāheñ phirte
mujh pe do din ko ināyat kī nazar hai bhī to kyā
sub.h tak kaun jiyegā shab-e-tanhā.ī meñ
dil-e-nādāñ tujhe ummīd-e-sahar hai bhī to kyā
maiñ ba-dastūr jalūñgā ye na hogī 'muztar'
merī sāthī shab-e-ġham sham-e-sahar hai bhī to kyā
Top Urdushayar.com