ham ne paa.ī lazzat-e-dīdār lekin duur se
un kī sūrat dekh lī sau baar lekin duur se
vo dikhāte haiñ hameñ ruḳhsār lekin duur se
is kā matlab hai ki kar lo pyaar lekin duur se
us ne jāñchā merā dard-e-dil magar aayā na paas
us ne dekhā merā hāl-e-zār lekin duur se
rauzan-e-dīvār se hasrat bharī āñkheñ laḌīñ
ho ga.iiñ un se nigāheñ chaar lekin duur se
us ne aane kā kiyā hai qaul lekin tā-ba-dar
us ne milne kā kiyā iqrār lekin duur se
paas 'muztar' kis tarah jaate hujūm-e-yās meñ
ho gayā un kā hameñ dīdār lekin duur se