hijr meñ ho gayā visāl kā kyā
ḳhvāb hī ban gayā ḳhayāl kā kyā
ḳhud-numā.ī pe ḳhaak Daalo tum
dekhnā shakl-e-be-misāl kā kyā
terī furqat ke din ḳhudā kaaTe
ho rahegā kabhī visāl kā kyā
dil ke dene meñ uzr kis ko hai
jaan hī de rahe haiñ maal kā kyā
haal us ne hamārā pūchhā hai
pūchhnā ab hamāre haal kā kyā
vasl kī iltijā pe bigḌe kyuuñ
sun ke chup ho raho savāl kā kyā
daur kī āshiqī gunāh nahīñ
dekh lete haiñ dekh-bhāl kā kyā
zulf ko kyuuñ jakaḌ ke bāñdhā hai
us ne bosa liyā thā gaal kā kyā
aaj tum kyuuñ malūl baiThe ho
vasl din hai mire visāl kā kyā
jab kahā tum se roz miltā huuñ
hañs ke kahne lage ḳhayāl kā kyā
qaul ke vaqt shart-e-fursat kyuuñ
daḳhl va.ade meñ ehtimāl kā kyā
rañj de kar jo ḳhush ho ai 'muztar'
us ko sadma mire malāl kā kyā