Muztar Khairabadi

dil ka moamla jo supurd-e-nazar hua

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
dil kā mo.āmla jo supurd-e-nazar huā
dushvār se ye marhala dushvār-tar huā
ubhrā har ik ḳhayāl kī tah se tirā ḳhayāl
dhokā tirī sadā kā har āvāz par huā
rāhoñ meñ ek saath ye kyuuñ jal uThe charāġh
shāyad tirā ḳhayāl mirā ham-safar huā
simTī to aur phail ga.ī dil meñ mauj-e-dard
phailā to aur dāman-e-ġham muḳhtasar huā
lahrā ke terī zulf banī ik hasīn shaam
khul kar tire laboñ kā tabassum sahar huā
pahlī nazar kī baat thī pahlī nazar ke saath
phir aisā ittifāq kahāñ umr bhar huā
dil meñ jarāhatoñ ke chaman lahlhā uThe
'muztar' jab us ke shahr se apnā guzar huā
Top Urdushayar.com