mohabbat bā.is-e-nā-mehrbānī hotī jaatī hai
hamārī saarī mehnat dhūl-dhānī hotī jaatī hai
hikāyat huuñ jo rātoñ ko hamesha hotī rahtī hai
shikāyat huuñ jo aapas meñ zabānī hotī jaatī hai
tirā ġham aaj tak taaza hai zālim varna duniyā meñ
na.ī shai din guzarne se purānī hotī jaatī hai
tumhārī yaad meñ ahl-e-jahāñ mar mar ke jiite haiñ
qazā logoñ ke haq meñ zindagānī hotī jaatī hai
baḌā ilzām Thahrā hai ta.alluq rishta-dārī kā
qarābat kī mohabbat bad-gumānī hotī jaatī hai
yahī tambīh milne par unheñ majbūr kartī hai
yahī tākīd goyā zid kī baanī hotī jaatī hai
mire ġham meñ vo majbūrī se un hāloñ ko pahuñche haiñ
ki ab un kī nazākat nā-tavānī hotī jaatī hai
tire kūche meñ ab gardish kī sūrat paḌtī jaatī hai
zamīñ kī chaal daur-e-āsmānī hotī jaatī hai
mire pahlū meñ dil kab thā lahū kī buuñd thī 'muztar'
so ab vo buuñd bhī qismat se paanī hotī jaatī hai