Muztar Khairabadi

dur kyun jaun yahin jalwa-numa baiTha hai

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
duur kyuuñ jā.ūñ yahīñ jalva-numā baiThā hai
dil mirā arsh hai aur us pe ḳhudā baiThā hai
but-kade meñ tire jalve ne tarāshe patthar
jis ne dekhā yahī jaanā ki ḳhudā baiThā hai
kyā hue aañkh ke parde jo paḌe the ab tak
barmalā hashr meñ kyuuñ aaj ḳhudā baiThā hai
naqsh-e-vahdat hī suvaidā ko kahā karte haiñ
dil meñ ik til hai aur us til meñ ḳhudā baiThā hai
maiñ jo kahtā huuñ ki ka.abe ko na barbād karo
hañs ke but kahte haiñ kyā dil meñ ḳhudā baiThā hai
āsmāñ maiñ tirī gardish se nahīñ Dartā huuñ
tujh ko kis baat kā ġham sar pe ḳhudā baiThā hai
chashm-e-vahdat se jo insān zarā ġhaur kare
jis ko dekhe yahī samjhe ki ḳhudā baiThā hai
apne marne kā zarā ġham na karo tum 'muztar'
yuuñ samajh lo ki jilāne ko ḳhudā baiThā hai
Top Urdushayar.com