ilāj-e-dard-e-dil tum se masīhā ho nahīñ saktā
tum achchhā kar nahīñ sakte maiñ achchhā ho nahīñ saktā
adū ko chhoḌ do phir jaan bhī māñgo to hāzir hai
tum aisā kar nahīñ sakte to aisā ho nahīñ saktā
abhī marte haiñ ham jiine kā ta.ana phir na denā tum
ye ta.ana un ko denā jin se aisā ho nahīñ saktā
tumheñ chāhūñ tumhāre chāhne vāloñ ko bhī chāhūñ
mirā dil pher do mujh se ye jhagḌā ho nahīñ saktā
dam-e-āḳhir mirī bālīñ pe majma.a hai hasīnoñ kā
farishta maut kā phir aa.e pardā ho nahīñ saktā
na barto un se apnā.iyat ke tum bartāv ai 'muztar'
parāyā maal in bātoñ se apnā ho nahīñ saktā