Muztar Khairabadi

kisi ke sang-e-dar se apni mayyat le ke uTThenge

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
kisī ke sañg-e-dar se apnī mayyat le ke uTTheñge
yahī patthar pa.e tāvīz-e-turbat le ke uTTheñge
ga.e vo din ki ham girte the aur himmat uThātī thī
vo din aayā ki ab ham apnī himmat le ke uTTheñge
agar dil hai to terā dard-e-ulfat saath jā.egā
kalejā hai to terā dāġh-e-hasrat le ke uTTheñge
ye paidā hote hī ronā sarīhan bad-shugūnī hai
musībat meñ raheñge aur musībat le ke uTTheñge
ḳhat-e-qismat miTāte ho magar itnā samajh lenā
ye harf-e-ārzū hāthoñ kī rañgat le ke uTTheñge
mujhe apnī galī meñ dekh kar vo naaz se bole
mohabbat se dabe jaate haiñ hasrat le ke uTTheñge
tire kūche meñ kyuuñ baiThe faqat is vāste baiThe
ki jab uTTheñge is duniyā se jannat le ke uTTheñge
tirā rāz-e-mohabbat le ke aa.e le ke jā.eñge
amānat le ke baiThe haiñ amānat le ke uTTheñge
hameñ is naam japne kā mazā us roz aa.egā
tumhārā naam jis din zer-e-turbat le ke uTTheñge
dam-e-āḳhir ham āñchal un kā 'muztar' kis tarah chhoḌeñ
yahī to hai kafan jis kī badaulat le ke uTTheñge
Top Urdushayar.com