jo mai dil se piye koī to phir raḳhne nahīñ rahte
zarā ye saaf kar lī jaa.e phir tinke nahīñ rahte
hamārā mai-kada mahfūz hai tāsīr-e-mausam se
yahāñ shīshe bhare jāḌoñ meñ bhī ThanDe nahīñ rahte
sharāb-e-nāb ke piine se haañ itnā to hotā hai
paḌe rahte haiñ jo āñkhoñ pe vo parde nahīñ rahte
qayām-e-mai-kada ke vāste iqrār kyuuñ saaqī
pilā.egā to rah jā.eñge aur vaise nahīñ rahte
libās-e-zāhirī par mai se be-shak daaġh paḌte haiñ
magar piine se andar qalb ke dhabbe nahīñ rahte
nahīñ detā jo mai achchhā na de terī ḳhushī saaqī
piyāle kuchh hamesha taaq par rakkhe nahīñ rahte
chhupā.e kis tarah zāhid se rāz-e-mai-kashī koī
ye hazrat mai-kashoñ kā haal be-pūchhe nahīñ rahte
namāzoñ se thake zāhid to mai-ḳhāne meñ aa jaanā
ye uThne baiThne ke is jagah jhagḌe nahīñ rahte
ḳhudā ke dāman-e-rahmat se apnā dāman-e-isyāñ
vo kyā Tāñkegā jis ke aañkh meñ Dore nahīñ rahte