duā se kuchh na huā iltijā se kuchh na huā
butoñ ke ishq meñ yād-e-ḳhudā se kuchh na havā
maiñ ek kyā huuñ sabhī bā-vafā haiñ shākī-e-jaur
tum ek kyā ho kisī bevafā se kuchh na huā
bharī to thī magar apne asar ko lā na sakī
ga.ī to thī magar āh-e-rasā se kuchh na huā
vo aarzū huuñ ki jis aarzū kī kuchh na chalī
vo mudda.ā huuñ ki jis mudda.ā se kuchh na huā
yahī sahī ki ḳhushī se mile mile to sahī
yahī sahī ki hamārī duā se kuchh na huā
vo ek ham ki jo chāhā kiyā visāl kī raat
vo ek tum ki tumhārī hayā se kuchh na huā
unheñ bulā ke tasavvur meñ ham mile 'muztar'
havas to ho ga.ī puurī balā se kuchh na huā