Muztar Khairabadi

baiThe hue hain hum KHud aankhon mein dhul Dale

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
baiThe hue haiñ ham ḳhud āñkhoñ meñ dhuul Daale
ai rū-e-yār tū ne parde fuzūl Daale
jhagḌā hī tum chukā do jab teġh khīñch lī hai
aafat meñ phir na mujh ko jān-e-malūl Daale
sūrat to ek hī thī do ghar hue to kyā hai
dair-o-haram kī bābat jhagḌe fuzūl Daale
turbat se koī pūchhe nairañgī-e-zamāna
ba.azoñ ne ḳhaak Daalī ba.azoñ ne phuul Daale
kahte haiñ jis ko jalva vo bhī kahīñ rukā hai
aaḌeñ fuzūl kī haiñ parde fuzūl Daale
sadqe dil-o-jigar ko mizhgāñ pe kar chukā huuñ
maiñ ne to apne hāthoñ kāñToñ pe phuul Daale
kaise hisāb joḌūñ a.amāl-e-ma.asiyat kā
jab us kī shān-e-rahmat gintī meñ bhuul Daale
'muztar' diloñ ke andar rakhne ke the ye kāfir
dozaḳh meñ kyuuñ ḳhudā ne jannat ke phuul Daale
Top Urdushayar.com