muḳhālif hai sabā-e-nāma-bar kuchh aur kahtī hai
udhar kuchh aur kahtī hai idhar kuchh aur kahtī hai
na tū dushman ke ghar soyā na tū dushman ke ghar jaagā
ye sab sach hai tirī sūrat magar kuchh aur kahtī hai
udhar madd-e-nazar un ko chhupānā raaz ulfat kā
idhar kambaḳht merī chashm-e-tar kuchh aur kahtī hai
tasavvur dil meñ shāyad aa gayā hai ghar ke jaane kā
ye añgḌā.ī tirī vaqt-e-sahar kuchh aur kahtī hai
nahīñ ma.alūm 'muztar' mar gayā yā saañs baaqī hai
ilāhī ḳhair shakl-e-chāragar kuchh aur kahtī hai