Muztar Khairabadi

rah ke parde mein ruKH-e-pur-nur ki baaten na kar

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
rah ke parde meñ ruḳh-e-pur-nūr kī bāteñ na kar
duur se bāteñ sunā kar duur kī bāteñ na kar
baiTh kar duniyā meñ zāhid huur kī bāteñ na kar
rah ke itnī duur itnī duur kī bāteñ na kar
lan-tarānī jalva-e-jānāñ tirī achchhī nahīñ
maiñ koī muusā nahīñ huuñ tuur kī bāteñ na kar
merī be-hoshī baḌhī jaatī hai is tadbīr se
chāragar tū dīda-e-maḳhmūr kī bāteñ na kar
apnā ġham mujh ko parā.e ġham se yaad aane lagā
ham-nashīñ mujh se dil-e-ranjūr kī bāteñ na kar
paas aane ko jo kahtā huuñ to 'muztar' naaz se
kahte haiñ chal duur itnī duur kī bāteñ na kar
Top Urdushayar.com