Muztar Khairabadi

jo puchha munh dikhane aap kab chilman se niklenge

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
jo pūchhā muñh dikhāne aap kab chilman se nikleñge
to bole aap jis din hashr meñ madfan se nikleñge
jalegā dil tumheñ bazm-e-adū meñ dekh kar merā
dhuāñ ban ban ke armāñ mahfil-e-dushman se nikleñge
ikaTThe kar ke terī dūsrī tasvīr khīñchūñgā
vo sab jalve jo chhan chhan kar tirī chilman se nikleñge
siyah poshāk dosh-e-nāz par bikhrī huī zulfeñ
mire mātam kī shirkat ko baḌe joban se nikleñge
hameñ parvā nahīñ is kī qayāmat laakh baar aa.e
na tum madfan pe aaoge na ham madfan se nikleñge
tire dāman se badlā leñge zālim ḳhūn-e-nāhaq kā
vo favvāre lahū ke jo mirī gardan se nikleñge
yahī rishta junūn-e-āshiqī kā hai to kuchh din meñ
mire tār-e-garebāñ yaar ke dāman se nikleñge
hazāroñ husn vaale is zamīñ meñ dafn haiñ 'muztar'
qayāmat hogī jab ye sab ke sab madfan se nikleñge
Top Urdushayar.com