itne achchhe ho ki bas tauba bhalī
tum to aise ho ki bas tauba bhalī
rasm-e-ishq-e-ġhair aur maiñ ye bhī ḳhuub
aisī kahte ho ki bas tauba bhalī
merī mai-noshī pe saaqī kah uThā
itnī piite ho ki bas tauba bhalī
vaqt-e-āḳhir aur ye qaul-e-vafā
dam vo dete ho ki bas tauba bhalī
ġhair kī baat apne uupar le ga.e
aisī samjhe ho ki bas tauba bhalī
maiñ bhī aisā huuñ ki ḳhāliq kī panāh
tum bhī aise ho ki bas tauba bhalī
kahte haiñ 'muztar' vo mujh ko dekh kar
yuuñ taḌapte ho ki bas tauba bhalī