ik naqsh-e-ḳhayāl rū-ba-rū hai
jo kuchh hai ye kuchh nahīñ hai tū hai
har phuul ke saath ek kāñTā
har dost ke saath ik adū hai
dil hai to hazār tujh se achchhe
aisā hī to ik baḌā vo tū hai
dushman ke jigar kā ḳhaar maiñ huuñ
aur us ke gale kā haar tū hai
dāman jo hai parda-dār-e-vahshat
is meñ bhī ka.ī jagah rafū hai
maiñ aap hī aap ro rahā huuñ
kuchh aap hī aap guftugū hai
mahshar meñ kisī kā haa.e kahnā
ab aap ke haath aabrū hai
o ġhair ko aañkh dene vaale
'muztar' bhī nigāh-e-rū-ba-rū hai