aish ke rañg malāloñ se dabe jaate haiñ
ab to ham apne hī hāloñ se dabe jaate haiñ
paañv rakhnā mujhe sahrā meñ bhī dushvār hai ab
saare kāñTe mire chhāloñ se dabe jaate haiñ
tauba tauba vo mire ḳhvāb meñ kyā ā.eñge
jāgte meñ jo ḳhayāloñ se dabe jaate haiñ
allāh allāh rī nazākat tire ruḳhsāroñ kī
itne nāzuk haiñ ki khāloñ se dabe jaate haiñ
tū hai koThe pe to katrā ke nikaltī hai ghaTā
kaale bādal tire bāloñ se dabe jaate haiñ
kyā dabā.eñge ubhar kar tire joban zālim
ye to ḳhud dekhne vāloñ se dabe jaate haiñ
un ko ai shauq-e-talab chheḌ ke mahjūb na kar
jo mohabbat ke ḳhayāloñ se dabe jaate haiñ
be-tarah bār-e-mohabbat to paḌā hai un par
aap kyuuñ chāhne vāloñ se dabe jaate haiñ
baar huuñ dīda-e-arbāb-e-suḳhan par 'muztar'
mudda.ī mere kamāloñ se dabe jaate haiñ