Muztar Khairabadi

waqt-e-aKHir yaad hai saqi ki mehmani mujhe

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
vaqt-e-āḳhir yaad hai saaqī kī mehmānī mujhe
marte marte de diyā añgūr kā paanī mujhe
vo mirī sūrat to dekheñ apnī sūrat ke liye
kaash ā.īna banā de merī hairānī mujhe
kaT gayā hai vasl se pahle zamāna umr kā
haa.e dhokā de gayā bahtā huā paanī mujhe
dāman-e-sahrā se lūñgā mar ke vahshat meñ kafan
ik nayā joḌā pinhā.egī ye uryānī mujhe
mere gul ko lā yā apne phuul le jā andalīb
aise kāñToñ se nahīñ fāñseñ nikalvānī mujhe
tum agar chāho to miTTī se abhī paidā hoñ phuul
maiñ agar māñgūñ to dariyā bhī na de paanī mujhe
tishna-kāmī is ko kahte haiñ ki bahr-e-ishq meñ
maiñ agar utrūñ to uupar pheñk de paanī mujhe
aisī mushkil tum ne Daalī hai ki jab mar jā.ūñgā
muddatoñ royā karegī merī āsānī mujhe
tū ne itnī dī ki mai-ḳhvārī kī hasrat bah ga.ī
maiñ ne itnī pī ki āḳhir ho ga.ī paanī mujhe
rone jaatā huuñ maiñ apnī hasratoñ ke Dher par
be-kasī aa kar sikhā de marsiya-ḳhvānī mujhe
hashr meñ chalnā paḌegā ek TeḌhā rāsta
kūcha-e-jānāñ sikhā de Thokareñ khānī mujhe
'muztar' apne haq ke kāñTe chun ke maiñ ruḳhsat huā
aur kyā detī bahār-e-gulshan-e-fānī mujhe
Top Urdushayar.com