dil le ke hasīnoñ ne ye dastūr nikālā
dil jis kā liyā us ko bahut duur nikālā
zāhid ko kisī aur kī bāteñ nahīñ ātīñ
aayā to vahī tazkira-e-hūr nikālā
dushman ko ayādat ke liye yaar ne bhejā
achchhā ye ilāj-e-dil-e-ranjūr nikālā
ai tīr-e-sitam chal tirī dāvat hai mire ghar
zaḳhm-e-dil-e-nāshād ne añkūr nikālā
vo tazkira-e-ġhair pe jhuñjhlā ke ye bole
phir aap ne 'muztar' vahī mazkūr nikālā