Muztar Khairabadi

jab kaha tir teri aankh ne akasr mara

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
jab kahā tiir tirī aañkh ne akasr maarā
chitvaneñ pher ke bole ki barābar maarā
qadr kuchh bhī mire dil kī but-e-kāfir ne na kī
zulf-e-pechāñ se jo uljhā to mire sar maarā
jaan be-maut ḳhudā bhī nahīñ letā lekin
tū ne be-maut hī logoñ ko sitamgar maarā
chand zarre merī miTTī ke faqat haath aa.e
dasht-e-ġhurbat ke bagūloñ ne jo chakkar maarā
ik musalmān kā dil toḌ diyā kyā kahnā
apne nazdīk baḌā aap ne kāfar maarā
'muztar' aisā koī ab tak na ho aur na ho
maut ne haa.e abas dāġh-e-suḳhnavar maarā
Top Urdushayar.com