vo qazā ke rañj meñ jaan deñ ki namāz jin kī qazā huī
tire mast-e-bāda-e-shauq ne na kabhī paḌhī na adā huī
tire daur-daura-e-ishq meñ mirī ek rañg se kaT ga.ī
na sitam huā na karam huā na jafā huī na vafā huī
mujhe ġhair-e-ijz-o-niyāz ne tire dar pe jā ke jhukā diyā
na to koī ahd likhā gayā na to koī rasm adā huī
mirā dil bhī thā mirī jaañ bhī thī na vahī rahā na yahī rahī
mujhe kyā ḳhabar ki vo kyā huā mujhe kyā ḳhabar ki ye kyā huī
mirī umr 'muztar'-e-ḳhasta-dil kaTī ranj-o-dard-o-firāq meñ
na kisī se merī davā huī na davā se mujh ko shifā huī