Muztar Khairabadi

jab kaha main hun tere ishq mein badnam ki tu

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
jab kahā maiñ huuñ tire ishq meñ badnām ki tū
hañs ke kis naaz se bolā but-e-ḳhud-kām ki tū
kaun sī raah chalūñ kufr mohabbat sach kah
kaam aa.egā vahāñ maz.hab-e-islām ki tū
dhoke de de ki mirā vaqt kaTā hai ki tirā
va.ade kar kar ke maiñ soyā huuñ sar-e-shām ki tū
parda uThne se mirā raaz khulā hai ki tirā
ghar se niklā hai tire saath mirā naam ki tū
kuchh to kah ai dil-e-betāb irāde kyā haiñ
nāma-bar jā.egā le kar mirā paiġhām ki tū
ḳhātma hijr kī shab kaun karegā merā
hasrat-e-vasl kā bigḌā huā anjām ki tū
sā.at-e-aish-e-do-roza tirī hājat kyā hai
ġham-e-jāved nikālegā mirā kaam ki tū
kaun piitā hai mohabbat kā piyāla pī le
mudda.ī legā mire haath se ik jaam ki tū
maiñ ne sochā ki nigāheñ unheñ DhūñDeñ ki ḳhayāl
nā-gahāñ bol uThī gardish-e-ayyām ki tū
tujh ko kyuuñ ranjish-e-bejā hai adū kā khaTkā
maiñ uThā.ūñgā mohabbat meñ ye ilzām ki tū
Top Urdushayar.com