fasl-e-gul bhī taras ke kaaTī hai
umr kāñToñ meñ bas ke kaaTī hai
maiñ ne ro kar guzār dī ai abr
jaise tū ne baras ke kaaTī hai
ho ke pāband-e-ulfat-e-sayyād
zindagī be-qafas ke kaaTī hai
soz-e-ulfat meñ zindagī maiñ ne
ġhair kā muñh jhulas ke kaaTī hai
zindagī-bhar rahe hasīnoñ meñ
umr phūloñ meñ bas ke kaaTī hai
us ne kis naaz se mirī gardan
kamar-e-shauq kas ke kaaTī hai
us kī hasrat hai diid ke qābil
jis ne 'muztar' taras ke kaaTī hai