na kisī kī aañkh kā nuur huuñ na kisī ke dil kā qarār huuñ
kasī kaam meñ jo na aa sake maiñ vo ek musht-e-ġhubār huuñ
na davā-e-dard-e-jigar huuñ maiñ na kisī kī mīThī nazar huuñ maiñ
na idhar huuñ maiñ na udhar huuñ maiñ na shakeb huuñ na qarār huuñ
mirā vaqt mujh se bichhaḌ gayā mirā rañg-rūp bigaḌ gayā
jo ḳhizāñ se baaġh ujaḌ gayā maiñ usī kī fasl-e-bahār huuñ
pa.e fātiha koī aa.e kyuuñ koī chaar phuul chaḌhā.e kyuuñ
koī aa ke sham.a jalā.e kyuuñ maiñ vo bekasī kā mazār huuñ
na maiñ laag huuñ na lagāv huuñ na suhāg huuñ na subhāv huuñ
jo bigaḌ gayā vo banāv huuñ jo nahīñ rahā vo siñgār huuñ
maiñ nahīñ huuñ naġhma-e-jāñ-fazā mujhe sun ke koī karegā kyā
maiñ baḌe birog kī huuñ sadā maiñ baḌe dukhī kī pukār huuñ
na maiñ 'muztar' un kā habīb huuñ na maiñ 'muztar' un kā raqīb huuñ
jo bigaḌ gayā vo nasīb huuñ jo ujaḌ gayā vo dayār huuñ