Muztar Khairabadi

ek parda-nashin ki aarzu hai

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
ik parda-nashīñ kī aarzū hai
dar-parda kahīñ kī aarzū hai
hai bhī to unhīñ kā dil ko armāñ
hai bhī to unhīñ kī aarzū hai
hotā nahīñ haañ se qaul puurā
ab mujh ko nahīñ ki aarzū hai
kho aa.e haiñ kū-e-yār meñ dil
is par bhī vahīñ kī aarzū hai
īmān kā ab ḳhudā nigahbāñ
ik dushman-e-dīñ kī aarzū hai
nikle bhī to terī justujū meñ
ye jān-e-hazīñ kī aarzū hai
añdherā machā huā hai dil meñ
kis māh-jabīñ kī aarzū hai
kyuuñ hashr kā qaul kar rahe ho
'muztar' ko yahīñ kī aarzū hai
Top Urdushayar.com