junūñ ke josh meñ insān rusvā ho hī jaatā hai
garebāñ phāḌne se faash pardā ho hī jaatā hai
mohabbat ḳhauf-e-rusvā.ī kā baa.is ban hī jaatī hai
tarīq-e-ishq meñ apnoñ se pardā ho hī jaatā hai
javānī vasl kī lazzat pe rāġhib kar hī detī hai
tumheñ is baat kā ġham kyuuñ hai aisā ho hī jaatā hai
bigaḌte kyuuñ ho aapas meñ shikāyat kar hī lete haiñ
adū kā tazkira dushman kā charchā ho hī jaatā hai
tumhārī nargis-e-bīmār achchhā kar hī detī hai
jise tum dekh lete ho vo achchhā ho hī jaatā hai
akelā pā ke un ko arz-e-matlab kar hī letā huuñ
na chāhūñ to bhī iz.hār-e-tamannā ho hī jaatā hai
mirā dāvā-e-ishq aġhyār bātil kar hī dete haiñ
jise jhūTā banā leñ yaar jhūTā ho hī jaatā hai
butān-e-be-vafā 'muztar' dil-o-dīñ kar hī lete haiñ
tumhīñ par kuchh nahīñ mauqūf aisā ho hī jaatā hai