na bulvāyā na aa.e roz va.ada kar ke din kaaTe
baḌe vo ho ki tum ne achchhā achchhā kar ke din kaaTe
akele kyā tumhīñ ne saḳhtiyāñ jhelīñ judā.ī kī
nahīñ ham ne bhī patthar kā kalejā kar ke din kaaTe
batā mujh ko tarīqa ai shab-e-ġham saal kaTne kā
koī baara mahīne tiis din kyā kar ke din kaaTe
jise apnā samajhte the vahī dil ho gayā un kā
koī duniyā meñ ab kis kā bharosā kar ke din kaaTe
qazā bhī aa ga.ī lekin na aanā thā na aa.e vo
ye maiñ ne umr-bhar kis kī tamannā kar ke din kaaTe
tumhārā kyā khule bandoñ rahe chāhe jise dekhā
kamāl us ne kiyā 'muztar' ki pardā kar ke din kaaTe