Muztar Khairabadi

kya kahun hasrat-e-didar ne kya kya khincha

Muztar Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1865-1927
kyā kahūñ hasrat-e-dīdār ne kyā kyā khīñchā
kabhī dāman tirā khīñchā kabhī pardā khīñchā
naqsh-e-ummīd mire shauq ne ulTā khīñchā
mujh se khiñchte hī ga.e vo unheñ jitnā khīñchā
vo tire dil meñ hamārī bhī jagah kar degā
jis ne is aañkh ke til meñ tirā naqshā khīñchā
ḳhvāb is dil pe tirī aañkh ne Dore Daale
ḳhuub kājal ne tirī aañkh meñ Dorā khīñchā
taan liiñ donoñ bhaveñ Daal ke nazreñ us ne
tiir chhoḌe to kamānoñ ne bhī chillā khīñchā
zabt-e-fariyād se 'muztar' mirī sāñseñ uljhīñ
rasm-e-fariyād ne uupar ko kalejā khīñchā
Top Urdushayar.com