mere mahbūb tum ho yaar tum ho dil-rubā tum ho
ye sab kuchh ho magar maiñ kah nahīñ saktā ki kyā tum ho
tumhāre naam se sab log mujh ko jaan jaate haiñ
maiñ vo khoī huī ik chiiz huuñ jis kā patā tum ho
mohabbat ko hamārī ik zamāna ho gayā lekin
na tum samjhe ki kyā maiñ huuñ na maiñ samjhā ki kyā tum ho
hamāre dil ko bahr-e-ġham kī kyā tāqat jo le baiThe
vo kashtī Duub kab saktī hai jis ke nā-ḳhudā tum ho
bichhaḌnā bhī tumhārā jīte-jī kī maut hai goyā
use kyā ḳhaak lutf-e-zindagī jis se judā tum ho
musībat kā ta.alluq ham se kuchh bhī ho to rāhat hai
mire dil ko ḳhudā vo dard de jis kī davā tum ho
kahīñ is phūTe-muñh se bevafā kā lafz niklā thā
bas ab ta.anoñ pe ta.ane haiñ ki be-shak bā-vafā tum ho
qayāmat aa.egī yā aa ga.ī is kī shikāyat kyā
qayāmat kyuuñ na ho jab fitna-e-roz-e-jazā tum ho
ulajh paḌne meñ kākul ho bigaḌne meñ muqaddar ho
palaTne meñ zamāna ho badalne meñ havā tum ho
vo kahte haiñ ye saarī bevafā.ī hai mohabbat kī
na 'muztar' be-vafā maiñ huuñ na 'muztar' be-vafā tum ho