ātish-e-husn se ik aab hai ruḳhsāroñ meñ
ai tirī shaan ki paanī bhī hai añgāroñ meñ
dam nikal jā.egā ruḳhsat kā abhī naam na lo
tum jo uTThe to biThā dūñgā azādāroñ meñ
jā ke ab nār-e-jahannam kī ḳhabar le zāhid
naddiyāñ bah ga.iiñ ashkoñ kī gunahgāroñ meñ
naubateñ nāla-e-ruḳhsat kā patā detī haiñ
mātam-e-ishq kī āvāz hai naqqāroñ meñ
mujh ko is dard kī thoḌī sī kasak hai darkār
jo davā ban ke baTā hai tire bīmāroñ meñ
be-talab us ne dikhāyā ruḳh-e-raushan 'muztar'
naam muusā kā nahīñ us ke talab-gāroñ meñ