kaise dil lagtā haram meñ daur-e-paimāna na thā
is liye phir aa.e ka.abe se ki mai-ḳhāna na thā
tum ne dekhī hī nahīñ taqdīr kī tārīkiyāñ
ik añdherī gor thī furqat meñ kāshāna na thā
majma-e-bait-ul-haram kī dhuum sunte the magar
jā ke jab dekhā to un meñ koī farzāna na thā
hashr meñ us shoḳh kā tarz-e-taġhāful dekhnā
mujh ko pahchānā nahīñ hālāñki begāna na thā
hashr meñ āḳhir use bhī chhoḌte hī ban paḌī
ḳhāna-e-madfan bhī goyā apnā kāshāna na thā
aisī kyā biitī ki 'muztar' un butoñ par mar miTā
jaan de detā vo kuchh aisā to dīvāna na thā